Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain


Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain.
Idhar Kuch Din Se Hum Har Raabtey Se Kat Chuke Hain.

Isi Mehdood Safhey Par Likhein Apni Kahaani..
K Hum Doonon Taraf Se Haashiyon Mein Bat Chuke Hain..

Bharam Rakha Huwa Hai Dhoop Mein Saaye Ne Apna..
Wagarna ! Hum Qad-o-Qaamat Mein Kab k Ghat Chuke Hain..

Wohi Sooraj Se Le Kar Chaand Tak Lamho'n ka Chalna..
Hamein Ab Roz-o-Shab k Sab Manaazir Rat Chuke Hain..
Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain Reviewed by Husnain Malik on April 06, 2015 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.