Kabhi Mehandi Se Saja Lo Tum Apne Hathon Ko
Kabhi mehandi se saja lo tum apne haathon ko,
Us sajawat ke kisi kone mein hamara naam bhi likh do,
Yeh naam sirf hum dono ko hi nazar aaye,
Kuch is tarah se hum dono ka tum naam likh do.
Teri mehandi se saje haathon ko mein apne haathon mein le loonga,
Tere haathon ki mehandi ki khushboo ko apne dil mein qaid kar loonga,
Dhoond loonga mein tere haathon mein chupi hum dono ka naam,
Leke tere haathon ko apne haathon mein use mein choom loonga.
Jab loonga tere haathon ko apne haathon mein,
Tere chudiyon ki kankanahat goonjegi geet banker,
Jab mein choomoonga tere honthon mein jaanam,
Tere siskiyan nayee sur banke goonjegi.
Tere saanson ki garmi jab milegi saanson se meri,
Tab wahan par nayee ek sargam banegi,
Jab milegi badan mere tere badan se oh jaanam,
Mohabbat hamari bas rangeen banegi.

Reviewed by Husnain Malik
on
March 24, 2015
Rating:
No comments: